H.I. Maulana Sayyed Mohammad Fayyaz Baqir Husaini @mfayyazbaqir
Raah e Imam Khomeini k muta’aliq Shahid Baqir us Sadr ne kaha k “Tum Khomeini me waise hi mil jao jaise Khomeini Islam me mil gaye.” @mfayyazbaqir #KhomeiniForAll
“Imam Khomeini ki nigaah me Islam yani Kanoon e Islam ki hukumat.” @mfayyazbaqir #KhomeiniForAll
“Imam Khomeini us zaat ka naam hai jis ne apne uper kanoon e Islam ki hukumat ko itna zyada control de diya tha k hamesha Islam ki marzi k mutabik apni zindagi guzarte the.” @mfayyazbaqir #KhomeiniForAll
“Imam Khomeini ka Inqelab apne khud k nafs se shuru hua tha apni khud ki zaat se shuru hua tha.” @mfayyazbaqir #KhomeiniForAll
“Imam Khomeini ki nigah me do hi raaste hai ek Islami aur dusra taghooti us k beech ka koi raasta nahi hai.” @mfayyazbaqir #KhomeiniForAll
“Imam Khomeini ki nigaah me Allah tak pahuchne ka sirf ek raasta hai aur wo haqeeqi Islam ka raasta hai.” @mfayyazbaqir #KhomeiniForAll
“Imam Khomeini ki nazar me haqeeqi Islam “Islam e Naab e Mohammadi hai.” @mfayyazbaqir #KhomeiniForAll
“Imam Khomeini ne kaha tha k agar Islam aur Iran me se kisi ek ko bachana pade to hum Islam ko bachayenge, Iran ko qurbaan kar denge.” @mfayyazbaqir #KhomeiniForAll
“Imam khomeini k ander wo hausla tha k Islam k muqable me sab kuch qurbaan kar de.” @mfayyazbaqir #KhomeiniForAll
Various TweetsÂ
Imam Khomeini wo shakhsiyat hai jis ne Allah k saath apne Ahad ko bakhoobi nibhaya hai. #KhomeiniForAll
Hame ye sa’adat naseeb hui hai k hum Asr e Imam Khomeini me duniya me aaye hai, hame Allah se digar nea’mato ka shukr guzar hona chahiye usi k saath is nea’mate uzma ka bhi shukr guzar hona chahiye. #KhomeiniForAll
Ilm ka meyaar Khomeini, Wo qasr e wafa aahani diwar Khomeini, wo nasire Mahdi as wo wafadaar Khomeini, Zehra sa ki dua sahibe kirdaar Khomeini, Wo kafelo ka kafela salaat Khomeini, wo Marde Mujahid wo Azadaar Khomeini. #KhomeiniForAll
Momin ko yaqeen Azm e safar de gaya hum ko, Rehne k liye Ilm ka ghar de gaya hum ko, Is daur me jeene ka hunar de gaya hum ko. #KhomeiniForAll
Tableegh, Ibadat, Aza, Hausla, Ummeed, sab aayine ko wo Aayinagar de gaya hum ko , is daur me jeene ka hunar de gaya hum ko. #KhomeiniForAll
Himmat use di thi pisar e binte Asad ne, wo khauf ki diwar me dar de gaya hum ko, Is daur me jeene ka hunar de gaya hum ko. #KhomeiniForAll
Pehle to ye tha maut se mar jaate the hum log, wo aaya Shahadat ka hunar de gaya hum ko, Is daur me jeene ka hunar de gaya hum ko. #KhomeiniForAll
Imam Khomeini ki Fikr, Imam Khomeini ka nazariya, Imam Khomeini ki deen shanasi ye ek suraj ki manind hai. #KhomeiniForAll
Ayatullah Jawadi Amuli ne farmaya “Aap ko kya maloom Khomeini kya hai? Aap ne faqat Khomeini ki tasweer dekhi hai, un k chand halaat sune hai lekin haqeeqat e Khomeini duniya k saamne aane k liye abhi 200 saal chahiye. #KhomeiniForAll
Imam ki raah ki khususiyat ye hai k Insan ko nateeja parast nahi hona chahiye yaani Meyaar e deen jo Imam ne bataya us me se ek ye hai k hamesha koshish ko dekho nateeje ko nahi, ye Imam ki fikr thi. #KhomeiniForAll
Imam khomeini apne aap ko Malik nahi balke deen ka maali samajhte the, jis tarha pedh par chahe phal aur phool na lage tab bhi maali pedho ko paani daalna nahi chodhta kyu k paani daalna us ka kaam hai phal aur phool lagana khuda ka kaam hai . Mayusi Imam k Maktab me gunah hai. #KhomeiniForAll